donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi bhar jo sahay ranj-o-alam kia kahye *
Zindagi bhar jo sahay ranj-o-alam kia kahye
Aub ab aa paRa ye aap ka gham kia kahye

Apnay haathoN se gala ghoNT lia khud apna
Zeest ne toRay haiN kis tarah sitam kia kahye

Apnay pindaar ke sau baar kiye haiN TukRay
Kaisay rakhkha hay tamanna ka bharam kia kahye

Zakhm seenay pe sajay, daagh haiN pinhaaN dil maiN
Un ka ham per jo raha lutf-o-karam kia kahye

Ye to ek doojay se sau-kos pe rehtay haiN sada
Dil kahaaN, aur kahaaN aaNkh ka nam, kia kahye

Apnay alfaaz to izhaar se ma'zoor rahay
Baat laiti thi jo is dil maiN janam kia kahye

Aakhri waqt sahi, uTh to gaye saaray hijaab
Wo jo paththar hay usay aur sanam kia kahye

AasmaaN maiN, na zameeN par, kaheeN shunwayee mili
Ghis gaye kaisay jabeeN, kaisay qalam kia kahye

Dil maiN toofan jo uThta hay bala-khaiz Saraab!
Kaisay ho payega kaghaz pe raqam kia kahye
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 413