donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tujh ko aaya na kisi taur mohabbat ka yaqeeN *
Ehd-o-payemaan kisi aur se ham kaisay karaiN
Khud ko azaad tere daur se ham kaisay karaiN

Tujh ko aaya na kisi taur mohabbat ka yaqeeN
Phir tujhay pyaar tere taur se ham kaisay karaiN

Apni hi zaat se ham jisko chHupa rakhtay haiN
Wo teri baat kisi aur se ham kaisay karaiN

Tujh ko daikhaiN to basarat hi chali jaati hay
Taira deedar bhala ghaur se ham kaisay karaiN

Bar-sar-e-ehd-e-wafa,ehd-e-wafa kartay rahay
Ab niba'h jhooT ke is daur se ham kaisay karaiN

Uska aana yuN achanak to qayamat hay Saraab! 
Baat is afat-e-fil-faur se ham kaisay karaiN
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 350