donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri aaNkh maiN abhi tak, koyee khwaab muztarib hay *
Meri aaNkh maiN abhi tak, koyee khwaab muztarib hay
Jo kabhi bhi khil na paaya, wo gulaab muztarib hay

Wahi jiski aarzoo maiN, kaTi umr khamushi say
Wo sawaal kioN na aaya, ye jawaab muztarib hay

Ye khizaaN ka sakht mausam, kabhi khatm bhi to hoga
Jo khula nahiN abhi tak, wo sahaab muztarib hay

Ye sakoot-e-behr yaaro! mehez ek faraib-e-khush-kun
Ke nihaaN kaheeN tahoN maiN, bohot aab muztarib hay

HaiN kuch aisay gham ke maray, bhi jahaaN ke jamghaTay maiN
Ke hay jab se in ke sar par, khud azaab muztarib hay

Jo ye band ho na payee, to wajah yahi hay shayed
Ke kitaab-e-zindagi ka, koyee baab muztarib hay

Ye ana ka sakht pehra, baRi bay-basi hay hamdam!
Koyee ja ke un se keh day ke Saraab muztarib hay
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395