donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kis tarah samaiTooN maiN bata khaak-e-nashayeman *
Kis tarah samaiTooN maiN bata khaak-e-nashayeman
Daikha na suna aisa kabhi chaak-e-nashayeman

Pehle se lagay thay jo yahaaN saiNkRoN paiwand
Kia barq ne daikhi nahiN poshaak-e-nashayeman?

Aye barq! uRatay hoN tera maz'haka jaisay
Is tarah uRaiN haiN khas-o-khashaak-e-nashayeman

Ab kaisay suna paaye koyee mad-bharay naghmay
Har shaire hua jata hay ghamnaak-e-nashayeman

Aye barq! tere zo'um ko gharqaab na kar day
Azad kia tu ne jo bayebaak-e-nashayeman

Aflaak maiN ban jaaye nashayeman na ab us ka
Ab tak thay mayassar jisay aflaak-e-nashayeman

Aye qasr-nasheeno! tumhen kia haal sunaayeN
Awara hi rakh sakta hay idraak-e-nashayeman

Khud zulm ne azaad kia jisko Saraab! aaj
Kar day ga fiza paak wahi paak-e-nashayeman
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355