donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab wasl ka garchay koyee imkaan nahiN hay *
Ab wasl ka garchay koyee imkaan nahiN hay
Is dil ko magar hijr pe eemaan nahiN hay

Kia tum ko batayeN ke jia kartay haiN kaisay
Is dard ko sehna koyee asaan nahiN hay

Ruswa na huwa ho sar-e-bazaar jo payeham
Aisa koyee wada, koyee payemaan nahiN hay

Aye qaaflay walo, hamaiN muR muR ke na daikho
Tum beech hamari koyee pehchaan nahiN hay

Barbadi-e-dunya bhi khirad ka hay karishma
DanaoN se baRh kar koyee nadaan nahiN hay

Aye mout teri qadr bhi jaati rahi dil say
Har roz jo ajaaye, wo mehmaan nahiN hay

Khush ho ke uThaye haiN sitam saaray tumharay
Ab dil pe tumhara koyee ehsaan nahiN hay

Kia de ke dilaye ga Saraab! usko yaqeeN ab?
Suntay haiN teray jism maiN ab jaan nahiN hay
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366