donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faisal Saraabs
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yahi bohot hai ke wo mairay waastay na rahay *
Yahi bohot hai ke wo mairay waastay na rahay
Phir iske baad ye dunya rahay, rahay na rahay

Kuch is ghuroor se maiN band kar ke aya tha
Ke lauT janay ko ab koyee raastay na rahay

Khirad ke bas ka na tha, doorioN ko kam karna
Jo hosh khoye to daikha ke faaslay na rahay

Kisi ko tark-e-ta'aaluq ki kia shikayat ho
Khud apnay aap se apnay to raabtay na rahay

Gayee hai dard ki shiddat bhi, apnay hosh ke saath
Saraab! paaoN maiN yaklakht aablay na rahay
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 354