|
* Raasta mai'n kya samundar me'n bana deta nahi'n *
Raasta mai'n kya samundar me'n bana deta nahi'n
Who, magar sab ko tilsemaati asa deta nahi'n
Be sabab taareef karke mere ham saaye mujhe
Jis tarah dete hai'n dhokha aayeena deta nahi'n
Mai'n bhi hoo'n mujrim zamaane ka' magar mere liye
Yeh saza keya kam hai , woh koii saza deta nahi'n
Kamtari ka kis qadar ehsas hota hai mujhe!
Jab koii saayel mere dar par sada deta nahi'n
Us ko jo dena tha us ne ghar ko de diya
Kaun kahta hai ke be maa'nge khuda deta nahi'n
Hukmarani ka na har giz khawab dekho ae "Feragh"
Har kisi ko azmat shahi khuda deta nahi'n
67, Maulana Shaukat Ali Street, Kolkata-7
|
|