donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faragh Rohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khoob Nibhegi Hum Dono Mein Mere Jaisa Tu bhi Hai *
                       Ghazal

Khoob Nibhegi Hum Dono Mein Mere Jaisa Tu bhi Hai
Thoda Jhoota Main Bhi Thehra,Thoda Jhoota Tu bhi Hai

jung Ana Ki Haar Hi Jana Behtar Hai Ab Ladne Se
Main Bhi Hoon Toota Toota Sa,Bikhra Bikhra Tu Bhi Hai

Ek Muddat Se Fasla Qayam Sirf Hamare Bich Hi Kiun
Sab Se Milta Rahta Hoon Main,Sab Se Milata Tu Bhi Hai

Apne Apne Dil Ke Andar Simte Huye Hain Hum Dono
Gumsum Gumsum Main Bhi Bahut Hoon,Khoya Khoya Tu Bhi Hai

Jane Kis Ne Dar Boya Hai Hum Dono Ki Rahon Mein
Main Bhi Hoon Kuchh Khaof Zada Sa,Sehma Sehma Tu Bhi hai

Hum Dono Tajdeed-E-Rifaqt Kar Lete To Achha Tha
Tanha Tanha Main Hi Nahin Hoon,Tanha Tanha Tu Bhi hai 
********************************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 439