donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Faragh Rohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo Misl-E-Saaz Dil Dhadka,Tumhara Bhi,Hamara Bhi *
                   Ghazal

Jo Misl-E-Saaz Dil Dhadka,Tumhara Bhi,Hamara Bhi
Sureela Ho Gaya Lahja Tumhara Bhi,Hamara Bhi

Nigahen Chaar Hoti Hain To Maani Khez Nazron Se
Taka Karte Hain Sab Chehra Tumhar Bhi,Humara Bhi

Mohabbat Ke Liye Duniya Tarasti Hai,Magar Dekho
Mukhalif Hai Jahan Sara Tumhara Bhi,Hamara Bhi

Zamana Raat Din Hum par Uthaye Ungliyaan,Lekin
Hai Pakeeza Bahut Rishta Tumhara Bhi,Hamara Bhi

Duayen Do Mohbbat Ko Ke Iske Hi Waseele se
Zamane Bhar Main Hai Charcha Tumhara Bhi,Hamara Bhi

Kinare Lag Hi jayegi Kisi Din Ishq Ki Kashti
Khuda Jab Nakhuda Thahra Tumhara Bhi,Hamara Bhi

Hamari Zindagi Yun To Hamen Har Din Milati Hai
Rahega Dil Magar Pyasa Tumhara Bhi,Hamara Bhi

'Faragh'Ahl-E-Mohabbat Mein Shumaar Apna Agar Hoga
Sabhi Duhrayenge Qissa Tumhara Bhi, Hamara Bhi

****************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347