donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farhat Abbas Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tuune dekhaa hai kabhii ek nazar shaam ke baad, *
Tuune dekhaa hai kabhii ek nazar shaam ke baad,
kitne chup-chaap se lagte hai.n shajar shaam ke baad,

itne chup-chaap ke raaste bhii rahe.nge laa-ilm,
chho.D jaaye.nge kissi roz nagar shaam ke baad,

mai.n ne aisee hii gunaah terii judaa_ii me.n kiye,
jaise tuufaan me.n ko_ii chho.D de ghar shaam ke baad,

shaam se pahle vo mast apnii u.Daano.n me.n rahaa,
jis ke haatho.n me.n the TuuTe hue par shaam ke baad,

raat biitii to gine aable aur phir sochaa,
kaun thaa baa_is-e-aaGhaaz-e-safar shaam ke baad,

tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaa.N raat kaa dukh,
tuu kisii roz mere ghar me.n utar shaam ke baad,

lauT aaye na kissi roz vo aavaaraa majaaz,
khol rakhate hai.n isii aas pe dar shaam ke baad.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376