donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farhat Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* rakh lo badoN ki apne viraasat saNbhaalkar *
rakh lo badoN ki apne viraasat saNbhaalkar
kab tak phiroge tauq...ghulaami ke Daalkar

zaalim wo bhi kasaab se hargiz nahi hai kam
kab tak rakhoge phaaNsi..ko afzal ki taal kar

karleNge jo iraada to.............palteNge na kabhi
is Dar ko dil me rakhna hai dushman ke Daalkar

aandaaz chaahte ho yahaN mukhtalif rahe
barbaadiyoN pe apne kabhi tu dhamaal kar

sauda qadam qadam pa kare ho anaa ka jab
khuddaari ka ye cholaa to phainko nikaal kar

jiska jawaab dena munaasib na tujhko ho 
bekaar koyi mujh se na phir tu sawaal kar

ye daur hai naya to naachkar karoge kya?
kya faaidaa samaaj ki...pagdi uchhaal kar

mehfil me husn aane pa...girti haiN bijliyaN
vaaraftagi ko dil me tu rakhna saNbhaalkar

jaane kahiN bhi baitha ho dushman wo mulk ka
rakhdeNge saari duniya ko Farhat! khaNgaal kar
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 373