donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farhat Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dard o gham ke maamlaat nahi *
dard o gham ke maamlaat nahi
ye haqeeqat ke tashbihaat nahi

dard se hum ko gar nijaat nahi
aese jeene me koyi baat nahi

itni sakhti hui......muqaddar ki
likhne anjaam ab dawaat nahi

har taraf khaamushi......si hai leikin
kyuN sukooN se bhari ye raat nahi?

ahmiyat kya....khushi ki hogi phir
gham agar shaamil e hayaat nahi

sauda imaandaari ka karleN
soch itni bhi waahiyaat nahi

naam ka jeena hai judaa hokar
teri furqat me bhi hayaat nahi

lut gayi duniya......saamne Farhat! 
chup tha mai jaese koyi baat nahi
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 364