donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farhat Khan
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kab madhu makhi ko rokegi chaman ki khushboo *
kab madhu makhi ko rokegi chaman ki khushboo
le ude usko to faqat uski........lagan ki khushboo

Ood ka itr ya sandal.............ki suhaani doonii
de nahi sakte kabhi Un ke dahan ki khushboo

chain se sote the.....seene pa nawaase dono
mast kardeti thi naana ke badan ki khushboo

kaese us shakhs ki yaadoN ko bhulaa paayeNge
peeche jo chhod gaya apne sukhan ki khushboo

kis qadar chaap hai mitti ki.............diloN par apne
door rehkar bhi hai saNsoN me watan ki khushboo

kis qadar rooh ko.........mehsoos sukuN hota hai
Ilm ke ghar me jab aa jaati hai fan ki khushboo

hoga aalam ye zamaane....se mu'attar Farhat!
saath apne rahii hardam hii kafan ki khushboo

taalib e Ilm
Farhat Khan 'Farhat!'
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 470