donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Farhat Shehzad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khuli jo aaNkh to Wo tha na Wo zamana tha *
Khuli jo aaNkh to Wo tha na Wo zamana tha
Dahakti aag thi tanhaye thi fasana tha
GhamoN ne baNt liya mujhe yuN aapas meN
Ke jaise main koyee luTa huaa Khazana tha
Ye kya ke chand hi qadamoN pe thak ke baith gaye 
tumheN to saath mera door tak nibhana tha
Mujhe jo mere lahu meN Dubo ke guzara hai
Wo koyee Ghair nahi yaar ek puraana tha
Khud apane hath se “Shahzad” us ko khat diya
Ke jis daraKht ke Tahani pe aashiyaanaa thaa
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 504