donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazal Abbas
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai meri Naao!! Jisay baadbaa,n! Muyassar hai.. *
   ہے میری ناؤ، جسے بادباں میسر ہے
   سبھی کو ایسی سہولت کہاں میسر ہے
 
   درست ہے کہ میں ہجرت سے پہلے بے گھر تھا
   نصیب دیکھ مجھے اب مکاں میسر ہے
 
   میں جانتا ہوں مجھے نیند آنے والی ہے
   میں جانتا ہوں کہ جائے اماں میسر ہے
 
    قلیل وقت ہے دریا کے پار جانا ہے 
    سنا ہے جو نہ یہاں ہے وہاں میسر ہے
 
    قریب ہے کہ ثمر توڑ پاؤں شاخوں سے
    حقیقتوں میں مجھے یہ گماں میسر ہے 
 
 
فضل عباس
 
 
Hai meri Naao!! Jisay baadbaa,n! Muyassar hai..
Sabhi ko aisi sahoolat kahaa,n! Muyassar hai..
 
Darust hai k main! Hijrat say pehlay bay ghar tha..
Naseeb deikh mujhay ab makaa,n! Muyassar hai..
 
Main! Jaanta hoo,n! Mujhay neend Aanay waali hai..
Main! Jaanta hoo,n! K jaa-e-Amaa,n! Muyassar hai..
 
Qaleel waqt hai darya k paar jaana hai..
Suna hai jo na yahaa,n! Hai wahaa,n! Muyassar hai..
 
Qareeb hai k sammar torr paau,n! Shaakho,n! Say..
Haqiqato,n! Mei,n! Mujhay yeh gumaa,n! Muyassar hai..
 
FAZAL ABBAS
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359