* guzartay waqt ke humraah chal naheeN sakta *
guzartay waqt ke humraah chal naheeN sakta
meiN apne aap se aagey nikal naheeN sakta
tum aasmaan ho rungat badal bhi saktey ho
meiN khaak o khoon hooN khud ko badal naheeN sakta
dabi huwi heiN bahut khawisheiN merey dil meiN
yeh oar baat keh khul key machal naheeN sakta
meiN os zameen peh kyoN aiReeyaaN ragaRta hooN
jahaN kabhi koi chashma ubal naheeN sakta
rahey gi mujh ko zaroorat terey sahaaray ki
meiN apna haath pakaR kar sanbhal naheeN sakta
hajoom e shehr se khud ko bacha key chalta hooN
kisi ko paaoN ke neechay kuchal naheeN sakta
yeh oar baat keh chhup jaaoN baadaloN meiN kaheeN
magar meiN waqt se pehlay to dhal naheeN sakta
Fazil Jamili
|