donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dil daari e jaanaN ko lapaktey chaley jaayeiN *
dil daari e jaanaN ko lapaktey chaley jaayeiN
aankhoN key katorey bhi chhalaktey chaley jaayeiN
 
barish ki tarah koi barasta rahey hum par
mitti ki tarah hum bhi mehaktey chaley jaayeiN
 
jaana hey agar hum ko terey khawab kadey tak
lazim to naheeN hey keh bhataktey chaley jaayeiN
 
khul jaaye zamaney peh kabhi apni ameeri
kaasey meiN jo sikkey heiN khanaktey chaley jaayeiN
 
kuchh tu he bata aaj humheiN chashm e guraizaaN
ruktey chaley jaayeiN keh siraktey chaley jaayeiN
 
aankhoN meiN koi chaand utarta chala jaaye
palkoN peh sitarey sey chamaktey chaley jaayeiN
 
os husn sey wabasta kuchh ehsaas heiN aisey
dil ki tarah seeney meiN dharhaktey chaley jaayeiN
 
aisa bhi naheeN hey keh on aankhoN sey peeyeiN kam
aisa bhi naheeN hey keh behaktey chaley jaayeiN
 
phir saazish e darbaaN sey heiN mohtaat qadam hum
pairoN key yeh ghunghroo nah chhanaktey chaley jaayeiN
 
yuN hum sey bichharhney ka sabab koi to ho gaa
jaaney ka koi naam he rakhtey chaley jaayeiN
 
hum ney bhi mohabbat sey bahut kaam liye heiN
jaatey huwey hum ko bhi parakhtey chaley jaayeiN
 
Fazil teri ghazloN meiN bhi kya aag bhari hey
parhtey chaley jaayeiN to dehaktey chaley jaayeiN
 
Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380