donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* guzashta aik sadii key nigaar khaaney mein *
guzashta aik sadii key nigaar khaaney mein 
sajii hoi hein merey qatilon ki tasweerein 
kisii key roo e munawwar peh khoon ki surkhii 
kisii key dast e sitam par hina ki tehreerein 
kaheen kaheen peh munaqqash hein kuch dar o deewar 
keh jin sey aaj bhi aati hai merey khoon ki boo 
woh khoon jo merey dil mein thaa oar khushboo thaa 
woh khoon jo merey haathon mein aik jugnoo thaa 
woh khoon merey liyee ek khushii ka aansu thaa 
khushii ka aik yeh aansu bhi chheen'ney waala 
ek aisa dushman e jaan bhi yahaan sey guzra hai 
kai hussain tah e taigh kar diyee jiss ney 
lahoo sey kitney hi taalab bhar diyee jiss ney 
woh hiroshima ho koi keh nagasaki ho 
subhi ko khoon mein nehlaa key rakh dia oss ney 
mein karun mujhey tarrpa key rakh dia oss ney 
ossi key bhai uthaa laaey hein nahi talwaar 
aor aaj tak hein merey saath bar sar e paikaar 
onhein khabar nahi shayed keh inqilaab hun mein 
oar ingilaab to oss zindagi ko kehtey hein 
jo zakhm kha key bhi zinda hai mar nahi sakti 
kissi ghaneem lutairey sey dar nahi sakti 
issi tarah key lutairey banam e dharam 
shabana roz mujhey qatl kartey rehtey hein 
phir oss key baad merey khoon mein nahaatey hein 
naha key khoon mein jashn e tarab manaatey hein 
koi yahan sey parey bhi hai jashn mein shaamil 
jo merey khoon ko peeta hai oar jeeta hai 
magar lahoo key nashey mein yeh bhool betha hai 
keh zakhm khaa key phalasteen ho gia hun mein 
mein poori aik saddi ka hun aalmi maqtool 
eh saal e noa mujhey apney nisaab mein rakhna 
mein qatl ho key bhi FAZIL bus itna chahta hun 
keh merey khoon ki shabnam gulaab mein rakhna 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368