donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* osey kya khabar hay..! *
osey kya khabar hay..!
koi os key baarey meiN kya sochta hay
woh apney he khawaboN khayaloN meiN khhoi
kabhi jaagti aur kabhi soyi soyi
koi aur ism e wafa parh rahi hay
mohabbat key dil mein utarti huwi
seerheeaaN charh rahi hay
 
woh kya jaanti hay..!
mohabbat ka aakhir yeh kya silsila hay
umeedeiN kahaN sey janam ley rahi heiN
kahaN yeh janam apna dam torhta hay
 
jo phool os key dil meiN achaanak khila hay
kisi ki bahaaroN bhari khawishoN ki
yeh pehli dua hay
 
woh kya aashna hay..!
dua aur khawish ka sanjaug kya hay
khushi ham sey roothi huwi kis liye hay
hamheiN raug kya hay
 
iraaday badalti huwi dausti
aur atal dushmani meiN
koi farq hay to usey kya gharaz hay
 
woh apney khawaboN khayaloN meiN khhoi
kabhi jaagti aur kabhi soyi soyi
khud apni he jaanib chali jaa rahi hay
mohabbat ko phir bhoolti jaa rahi hay.
 
Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394