* ab to ashkoN ki rawaani meiN na rakhi jaaey *
ab to ashkoN ki rawaani meiN na rakhi jaaey
os ki tasweer hae paani meiN na rakhi jaaey
aik he dil meiN thehar jaaeiN hamesha ke liye
zindagi naql makaani meiN na rakhi jaaey
zinda rakhna ho mohabbat meiN jo kirdar mera
saa'at e wasl kahaani meiN na rakhi jaaey
yuN to milte heiN sabhi log bichharhne ke liye
nagahaani yeh jawaani meiN na rakhi jaaey
hum to peete heiN may e naab milaawat ke baghair
aik chuski bhi ho, paani meiN na rakhi jaaey
bhool jaana hae to ae dost bhula de mujh ko
yaad ab yaad dehaani meiN na rakhi jaaey
jab koi aik kashish khainch rahi hae hum ko
keemiaa, falsafa daani meiN na rakhi jaaey
teri khushboo se mehakta rahe bistar maira
raat ab raat ki raani meiN na rakhi jaaey
dil bhi thora sa subuk dosh e tamanna kar de
kuchh tabeeyat bhi giraani meiN na rakhi jaaey
jitni taaseer ho maula, mairi tehreer meiN ho
kisi aashufta byaani meiN na rakhi jaaey
toot sakte heiN angoothi ke nageene Fazil
yaad koi bhi nishaani meiN na rakhi jaaey
Fazil Jamili
|