donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* khud ghazaalaN ki kashish, khud rum e aahoo hotieN *
khud ghazaalaN ki kashish, khud rum e aahoo hotieN
larhkiyaaN phool na hoteiN bhi to khushboo hoteiN
 
koi yaadoN meiN kaheiN phool khilaaey rakhta
baarisheiN khawab jazeeroN meiN bhi har soo hoteiN
 
hum bhi heela, na bahaana, na yeh toona kartay
woh chamakti hoi aankheiN jo na jaadoo hoteiN
 
dil meiN kya kuch hae ose kaash bata bhi sakta
khawisheiN, khawab na hoteiN, mere aansoo hoteiN
 
ruqs gaahoN meiN jo 'hum raqs' pukaare jaate
dum ba dum tum he mere pehloo ba pehloo hoteiN
 
maaNeiN bunteiN jo koi khawab duaaoN ki tarah
betiyaaN titliyaaN, taare, kabhi jugnoo hoteiN
 
meiN sunwarta, meiN nikharta, meiN bikharta rahta
mairi raateiN bhi jo os shaukh ke gaisoo hoteiN
 
os ko chhoone ke liye door ufaq tak jaata
mairi poreiN, mairi socheiN jo pakhairoo hoteiN
 
aab e kausar ki qasam , piyaas ki shiddat ki qasam
tum he tum ho jo mere dard ka daaroo hoteiN
 
 apni hairat se kisi oar he wahshat ki taraf
 tum bhi dunya se nikalteiN, koi saadhoo hoteiN
 
 os ki angrhaayiaaN hoteiN na guraizaaN mujh se
 mairi aankheiN , mairi saanseiN , mere baazoo hoteiN
 
 Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398