donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gali meiN khailte bacho *
gali meiN khailte bacho
jawaN hone se pehle soch laina
zindagi mushkil naheiN lekin
bahut mushkil jawani hai
jawani mujh pe guzri hai
mujhe malum hai kirdar kaise qatl hote heiN
kahani mujh pe guzri hai
 
hum aise gham ke maare nau jawanoN ko
mohabbat mil naheiN sakti
rahi taaleem to os ki zamanat bhi nahiN koi
muaashi mas'ale ka hul kisi ke paas kia ho ga
 
jahaN zulm o tashaddud ki siyasat he maheeshat ho
wahaN par khoon ki qeemat hamesha sifr hoti hai
jawani meiN qadam rakhne se pehle
zindagi be fikr hoti hai
yunhi be fikr he rahna
 
gali meiN khailte bacho
gali meiN khailte rahna
lahoo ke saath mat bahna
 
koi jang o jadal ka ab
tumheiN eeNdan banaye to
ose apne lahoo ka aik qatra bhi naheiN daina
nazar ke saamne uthti faseeloN ko gira daina
diloN ko baant daiti heiN
lakeereiN sarhadoN ki
in lakeeroN ko mita daina
 
rag o pae meiN bichhai jaa rahi heiN jo
wo baaroodi surangeiN saaf kar daina
lahoo meiN dorhti phirti huwi ye aabdozieN
tum ko le doobeiN gi saath apne
inheiN apne he seene meiN kaheiN gharqaab kar daina
 
kabhi bhi apna johar
johari hathyaar meiN tabdeel mat karna
zamaanoN , la makaanoN se bhi aage hai muqaam apna
kisi bhi hum nafas ki tum kabhi tazleel mat karna
 
gali meiN khailte bacho
gali meiN khailte rahna
lahoo ke sath mat bahna
 
Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 444