donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* koi din key liye khud sey faraaghat chahta hooN meiN *
koi din key liye khud sey faraaghat chahta hooN meiN
ijaazat dijiye mujh ko, ijaazat chahta hooN meiN
 
mujhey kaar e musalsal ki azeeyat sonpnay waaley
kaheiN angRaayiaaN lainey ki fursat chahta hooN meiN
 
koi taqdeer haathoN ki lakeeroN mieN naheeN hoti
jo likhi jaa naheeN sakti, woh qismat chahta hooN meiN
 
guzartay baadaloN key dil mieN kya hay, keh naheeN sakta
magar in baadaloN jaisi musaafat chahta hooN meiN
 
khud apney aap sey bichhRi huwi aawaz hooN shaayed
issi khaatir to aap apni samaa'at chahta hooN meiN
 
wohi meri zaroorat hay, osey samjha naheeN sakta
zaroorat sey siwa jis ki mohabbat chahta hooN meiN
 
jo mera naam suntey he sitaara sa chamakti heiN
onheiN dildaar aankhoN meiN sakoonat chahta hooN meiN
 
qiyaamat khaiz hay apney liye khush qaamati jis ki
osi qaamat sey waabasta qiyaamat chahta hooN meiN
 
badan chahey kaheeN bhi hoN, yeh rooheiN aik ho jaayeiN
mohabbat meiN koi aisi riwaayat chahta hooN meiN
 
nah jaaney kon si lazat hay nangey paaoN chalney meiN
nah jaaney kis liye itni azeeyat chahta hooN meiN
 
Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397