donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ae darakhto tumhein jab kaat dia jaye ga *
Ae darakhto tumhein jab kaat dia jaye ga
Aur tum sookh kay lakri mean badal jao gay
Aisay aalam mein bahut paish kashein hongi tumhein
Tum magar apni rawayat say nah phirna har giz
 
Shah ki kursi mean dhalnay say kahein behtar hae
Kisi footpath kay hotel ka woh toota hua takhta banna
Mailay kaproN mein sahi, laug mohabbat say jahan baithtay hean
 
Kisi bandooq ka dasta bhi nahi hona tumhain
Chaaqu chhurriyon ko bhi khidmaat nah apni daina
Aisay darwazay ki chokhat bhi nah banna har giz
Jo mohabbat bhari dastak peh kabhi khul nah sakay
 
Ae darakhto tumhein jab kaat dia jaye ga
Aur tum sookh kay lakri mein badal jao gay
 
Koi baysaakhi banaye to sahaara daina
Aur kashti kay liye itni mohabbat say tum aagay barhna
Keh samandur ki faraakhi bhi bahut kam par jaye
 
Apnay patwaar merey baazuoN jaisay rakhna
Jo kisi aur ki taaqat kay siwa zinda hean
Meri dunya keh abhi waaqif e ulfat he nahi
Merey baazu bhi mohabbat kay siwa zinda hean.
 
Fazil Jamili.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 512