donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Daust milte hein puraane nayi tashkeel ke saath *
Daust milte hein puraane nayi tashkeel ke saath
Yeh kahani bhi ajab ha meri tamseel ke saath
 
Tum kabhi meri udaasi ka sabab tau poocho
Mein bhi khul jaaoN ga tum par kabhi tafseel ke saath
 
Yeh laRaay koi ab ki tau nahi ha bhai 
Ik zamaane se ha jhaGRa mera qabeel ke saath
 
Jaane iss khawab ki tabeer ka mausam kya ha
Mein ne dekha ha byabaan bhi ik jheel ke saath
 
Saamne aaye gi jab bhi rukh e janaan ki kitaab
Mein talawat he kiye jaaoN ga tarteel ke saath
 
Khayma e khawab mein guzri hui ik raat hun mein
Jalti bujhti hui ik yaad ki quindeel ke saath
 
Zindagi kaanch ka guldaan huyi ha jab se
Phool khiltey hein mulaqat ke taateel ke saath.
 
Fazil Jamili.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405