donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* waqt sab sey baRii adaalat hai *
waqt sab sey baRii adaalat hai 

oar meiN waqt ki adaalat meiN 

aaj iqbal e jurm karta huN 

zindagii ki Taweel raahoN meiN 

ham shareek e safar rahey donoN 

tu mujhey zindagii samajhtii rahii 

meiN tujhey qatl karta aaya hoN 

meiN ney aadam sey ley kar aaj talak 

jis qadar bhi lahoo bahaaya hai 

saara terey badan sey aaya hai 

tu jo paida hoii to meiN ney tujhey 

zinda dar gor kar key maar diya 

kabhi deewar meiN chuna tujh ko 

kabhi soolii peh tujh ko waar diya 

ham ney mil kar makaan banwaaya 

jis meiN donoN muqeem heiN leykin 

tu ghareyloo ghulaam ki soorat 

oar mein maalik e makaaN ki taraH 

sirf apnii hawas miTaaney ko 

meiN ney teri qaseeda khawanii ki 

sochta hoN to yaad aata hai 

meiN ney kia kia ghalat biyaanii ki 

mera maazii hai jhooT ki taareekh 

haal apney peh bas nadaamat hai 

iss sey pehley keh iss nadaamat meiN 

meiN kissi roz khud kushii kar looN 

ey meri ham safar baghaawat kar 

apni taareekh khud murattab kar 

By: Fazil Jamili
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 431