donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fazil Jamili
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tum aa rahi ho ba sad naaz mere dil ki taraf *
tum aa rahi ho ba sad naaz mere dil ki taraf
nayi rutoN ka ha aaghaaz mere dil ki taraf
 
zamaaney baad suni ha kisi ki sargoshi
ha koi dard ki aawaaz mere dil ki taraf
 
phir aik baar tabiyat bahaal hone lagi
phir aa geya mera damsaaz mere dil ki taraf
 
meiN apne dil ki taraf se ussey mana loon ga
jab aaye ga koi naaraaz mere dil ki taraf
 
kisi ke dil he ne izn e safar diya ho ga
ke chal parray heiN kai raaz mere dil ki taraf
 
meiN tere baad kisi ki taraf na dekhoon ga
bas ik nigah e fusoon saaz mere dil ki taraf
 
kisi ki neend bhari guftagu ne chhairr diye
kayi surood, kayi saaz mere dil ki taraf.
 
Fazil Jamili.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403