|
* samandaron key safar ney *
samandaron key safar ney
itna thaka dia hai
keh apney ghar mein qiyaam karna bhi
ab thakan hai
kisi sey koi kalaam karna bhi
ab thakan hai
woh jin sey baatein karein
to raatein guzarti jayein
onhein namastey salam karna bhi
ab thakan hai
samandaron ki thakan utarney mein
dair lagtii hai jaanta hon
koi dhanak ho keh apsara ho
nidhal ho kar bhi raks mein ho
jo aasmaanon sey paaniyon mein
utarti chaandi key aks mein ho
woh jal pari ho,
yeh maanta hon
magar zara dair key liyee tum
merey khiyalon key narm bister peh let jao
jo khawab poorey nahi hoey hein
woh khawab dekho.....
koi sitara kahein hamhara bhi ho ga roshan
tum oss sitaarey ko aankh bhar kar
jo dekh lo gi
to pehley jitney safar kiyee hein
kisi safar ki thakan rahey gi
na ghar mein apney qiyaam karney
kisi sey koi kalaam karney
dua, namastey , salam karney mein
koi uljhan, kasak rahey gi
rahi agar to
dil o nazar mein naey safar ki
chamak rahey gi... |
|