donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fehmida Riyaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aiwaan-e-adalat mein *
Aiwaan-e-adalat mein
Pathrai hui aankheN
Pathraey hoey chehrey
Pathrai hui saaNsen
ChamaDe ki zubaanoN par
Pathrai hui baateN

Faryaad kaTehrey mein 
Ro ro ke tarrapti thi
Qaanun k rakhwaley
Kal ley k gaey jis ko
Ab us ko yahaN laeiN
Wo naash to dikhlaeN

Pathraey hoey chehrey
Ek dam koi dil dharrka
Shola sa kahiN bharrka
Jab tak k koi samjhey
Lo phatt bhi gaey dhaarey
AawazeN mileeN baaham
Aur goonj uThey naarey
Maasoom si jaanoN k 
Beytaab jawanoN k
Kya shor lahu ka tha
Kya goonj thi naaroN mein

Aiwaan-e-adalat mein 
Pathraey hoey kamrey
Dam roke k suntey they 
Jab surkh salaam aaya
Maqtool ka naam aaya
GhooNsa sa laga dil par
AankhoN sey lahu phooTa
Jeetey raho dil waloN
Patthar to koi TooTa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 339