donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Fehmida Riyaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ye zard mausam ke Khushk patte *
ye zard mausam ke Khushk patte
havaa jinhe.n le ga_ii u.Daakar
agar kabhii in ko dekh paao
to soch lenaa
ki in me.n har barg ke namuu me.n
ziyaa.N gayaa arq shaaKh-e-gul kaa
kabhii ye sar_sabz ko.npale.n the
kabhii ye shaadaab bhii rahe hai.n
khule huye ho.nTh kii tarah narm aur shaguftaa
bahut dino.n tak
ye sabz patte
havaa ke relo.n me.n bebasii se ta.Dap chuke hai.n
magar ab ye Khushk ho rahe hai.n
magar ye ab Khushk ho chuke hai.n
agar kabhii is taraf se guzaro
to dekh lenaa
barahanaa shaaKhe.n havaa ke dil me.n ga.Dii hu_ii hai.n
ye ab tumhaare liye nahii.n hai.n
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372