donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ZAMI'N KA FARSH HAI AUR SAR PE AASMA'N KI CHHAT, *
ZAMI'N KA FARSH HAI AUR SAR PE AASMA'N KI CHHAT, 
HAI KHOOB TAR KAHI'N MUJH SE MERE MAKAN KI CHHAT, 
UJARH NA JAYE PARINDE KA GHONSLA YAARAB, 
HAWA KA ZOR HAI AUR IK BE ZABAN KI CHHAT,
BAS AIK DEEDAE IBRAT, BURIDAH SAR DIWAR,
NA KOI DAR, NA DARICHA,NA HAI MAKAN KI CHHAT,
NAHI HAI SIRF YEH MITTI MILA HUA BHOOSA,
HAI ISME MERA PASINA,YEH HAI KISAN KI CHHAT,
HUA SHIKAR,SHIKARI KABHI HUA YU'N BHI,
SHIJAR GIRA HAI,QAZA LE URHI MACHAAN KI CHHAT,
GHARIB SHAHAR NE APNI LAGAYI JAB BOLI,
GHATE HAI'N DAAM IDHAR GIR GAYI DUKAAN KI CHHAT,
HOSOOLE LAAL-O-GUHAR KI HAWAS BARHI JAB BHI,
LAHAD BANI HAI JAHA'N AA GIRI HAI KAAN KI CHHAT,
DILO'N KO CHAAT GAYI PAL MEI'N WAHAM KI DIIMAK,
YAQI'N KA ZOR GHATA JAB PARHI GUMAAN KI CHHAT,
SAJA HAI KHOKHLE LAFZO'N SE HAR SOKHAN WAAYEZ,
KAHI'N SE BAITH NA JAYE TERE BAYAN KI CHHAT,
KYA QAYAM TOO MANZIL SALAT KI PAAYII,
KHULI JO AA'NKH TO AAYI NAZAR AZAAN KI CHHAT,
HAI YAAD AAJ BHI RUKHSAT KI WOH GADHI"KHUSRO",
HESAAR MAA KI DUAO'N KA AUR QURAAN KI CHHAT.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368