donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* TALASHE RIZQ MEI'N JAAYE'N TO HAM KAHA'N JAAYE'N, *
TALASHE RIZQ MEI'N JAAYE'N TO HAM KAHA'N JAAYE'N,
ZAMEEN TANG HAI AUR AASMAN GIILA HAI,
GHARIB SHAHR KE BACHCHO'N KE HAI'N DAHAN SOOKHE,
AMEERE SHAHR KI KOTHI KA LAAN GIILA HAI,
SYAAH RAAT HAI,BAARISH HAI AUR DARINDE HAI'N
ZARA SAMBHAL KE QADAM RAKH MACHAAN GIILA HAI,
WOH KHUSH HAI DHOOP KAYII DIN KE BAAD NIKLI HAI,
MUJHE HAI KHAUF KE APNA MAKAAN GIILA HAI,
RAHE SALOOK MEI'N ITNA NAA CHEEZ CHAL KE ABHI,
JABEE'N KA NAQSH, QADAM KA NISHAAN GIILA HAI,
BARHA NAA DASTE TALAB EHTEYAAT KAR "KHUSRO".
GULO'N KA RANG ABHI MERI JAAN GIILA HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348