donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AANKH PAT-THER HUI KHUD APNI HI URYAANI SE, *
AANKH PAT-THER HUI KHUD APNI HI URYAANI SE,
AAYINA TOOT GAYA SHIDDATE HAIRANI SE,
KHUD NAQAB KAISE LAGATE HAI'N MAKAA'N MEI'N APNE,
USNE SEEKHA HAI YEH APNO'N KI NIGAHBAANI SE,
JITNI MUSHKIL SE USE HAMNE KIYA THA HAASIL,
HAM BHULA BAITHE USE ITNI HI AASANI SE,
MUT-THI BHAR KHAAK HI SAHRA KI BICHHA LE'N GHAR MEI'N,
AA CHUKE TANG BAHUT BE SARO SAAMANI SE,
ROZ O SHAB APNE TA'AQUB ME'N HAI'N SONCHEY APNI,
JAAN CHHUT-TI NAHI IS GHOL BAYABANI SE,
BOLE JUNGLE KI HAWA SE YEH SULAGTE ASHJAAR,
AAG BHARHKI HAI HAMESHA TERI NAADANI SE,
KHOON JIS SHAHAR MEI'N BAHTA RAHE PAANI KI TARAH,
PYAAS US SHAR KI BUJHTI NAHI PHIR PAANI SE,
LUTFO AKRAAM KI ITNI BHI NA HO ARZAANI,
QEEMATE'N GIRTI HAI'N ASHIYA KI FARAWAANI SE,
WOH PARESHAA'N HAI'N HAME'N BAZME SOKHAN MEI'N PAA KAR,
AUR PARESHAA'N HAI'N HAM UN KI PARESHAANI SE,
PHOOL PHAL LE GAYE SAB LOOT KE AERE GHAIRE,
LAAKH AB HAATH MALE KOI PASHEMAANI SE,
AAP KE PAAYO'N MOALLAQ HAI'N HAWA MEI'N "KHUSRO",
DEKHIYE AANKHE'N HATA KAR KABHI PESHAANI SE.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348