donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MOQADDAR HAI JO AN DEKHI SI IK ZANJEER BAAQI HAI, *
MOQADDAR HAI JO AN DEKHI SI IK ZANJEER BAAQI HAI,
NA MUJH MEI'N HAI KOI RAANJHA NA TUJH MEI'N HEER BAAQI HAI,
ABHI BHI IS SHIJAR KI CHHAAL PER DO NAAM KUNDAH HAI'N,
LABE SAAHIL KISI KE HAATH KI TAHREER BAAQI HAI,
BAZAHIR FAISLA KARNA HAI TUJHKO AUR IK MUJH KO,
BAZAAHIR FAISLE KE DARMIYAA'N TAQDEER BAAQI HAI,
BHARAM RAKHA HAI DIL KE AAYINE NE AAJ BHI APNA,
KE KHUD TUKRHE HUA LEKIN TERI TASWEER BAAQI HAI,
HAME'N BHI APNI JAA'N PER KHEL JANA KHOOB AATA HAI,
ABHI BHI JEETNE KI AAKHRI TADBEER BAQI HAI,
YEH AANKHE'N POOCHHTI HAI'N AUR KAB TAK KHWAAB BAN NA HAI,
BAHUT SE KHWAAB HAI'N JIN KI ABHI TAABEER BAAQI HAI,
AMAA'N DENE SE PAHLE KAASH YEH BHI POOSHH LENA THA,
KAFE DASTE ADU MEI'N GARMIE SHMSHEER BAAQI HAI,
DARE ZINDAA'N KABHI WAA KIJIYE KHUD BHI SHAHE WALA,
FAZAAYO'N MEI'N ABHI AAWAZAHE ZANJEER BAAQI HAI,
SAKOO'N DETI HAI APNI TAB'AE MAUZU'N BE SUKOONI MEI'N,
KISI KA FAIZ HAI MUJH PAR JO YEH JAAGEER BAAQI HAI,
SOKHAN "GHALIB" KA GAR MAQBOOLE KHAAS O AAM HAI "KHUSRO",
JAHAA'N MEI'N AAJ BHI LUTFE ZABAANE "MEER" BAAQI HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348