* M a h i y e : Muflis ka diya hoon main *
M a h i y e
Muflis ka diya hoon main
Phoos ke chhappar mein
Sadiyon se raha hoon main
Jab dhoop ka shahar aaya
Yaad pada teri
Zulfon ka ghana saya
Is sukh ka maza kya hai
Vaqt guzarne par
Insan ko jo milta ho
Har simt hai shoro shar
Vaqt yeh kehta hai
Ghar se na nikal bahar
Botal ka voh qaidi jin
Apni rihai ka
Din kabse raha hai gin
Bachchon ki hansi chhine
Aisi khushi kya jo ?
Auron ki khushi chhine |