donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Firaq Roohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh roop yeh singaar yeh joban tere Baghair *
Yeh roop yeh singaar yeh joban tere Baghair 
Kisko lubhayega saajan tere Baghair 

Saajan na ho to kuan saze kyun kare singaar 
Darpan mein apne aapko kyun dekhe baar baar 
Rahta nahi hai darpan kam ka tere Baghair 

Yeh roop yeh singaar yeh joban tere Baghair 
Kisko lubhayega mere saajan tere Baghair 

Milti hai tere dumse gale har khushi jahan 
Bhati hai dopehar ki kadi dhoop bhi jahan 
Mujhko dasega ab vahi angan tere Baghair 

Yeh roop yeh singaar yeh joban tere Baghair 
Kisko lubhayega mere saajan tere Baghair 

Dil jisko dekh dekh ke tarsega rat din 
Abke Baras jo toot ke Barsega rat din 
Mujhko bura lagega voh savan tere Baghair 

Yeh roop yeh singaar yeh joban tere Baghair
Kisko lubhayega mere saajan tere Baghair
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 316