donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ghalib Ayaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi *
Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi
Zindagi tujh se mulaaqaat thi jo ho bhi gayi
Ab  talak  aas teri dil men liye   phirtaa   hun
Khush gumaani ko mere teri hansi ro bhi gayi
Ain mumkin hai ke aelaan e sahat yaabi ho
Dard ki tees jo uththi thi abhi,  so bhi  gayi
Hum to maasoom the bekar dara karte the
Zindagi tujh se juda rahke basar ho bhi gayi
Phir wohi aas ta’aaqub men lagi  hai  mere
Biti baaton ke sabhi daagh mui dho bhi gayi
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337