donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ghayas Mateen
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa’iinaa ban ke baat kartii dhuup *
Aa’iinaa ban ke baat kartii dhuup,
dil kii diivaar par barastii dhuup,
mere andar bhii dhuup kaa aalam,
mere baahar bhii raqs kartii dhuup,
(raqs : dance)
us kii aaNkhoN meN Khemaa-zan dekhii,
aik ek buuNd ko tarastii dhuup,
(Khemaa-zan : sheltered)
aa’iinaa dekh kar ThiThaktii hai,
ghar kii diivaar se utartii dhuup,
taaq-e-maazii meN chhup ke baithii hai,
Khauf se kaaNpti laraztii dhuup,
(taaq : vault; maazii : past; Khauf : fear)
apnaa lahjaa “Mateen” aisaa hai,
jaise dariyaaoN meN utartii dhuup.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417