|
* Aaj kisii ne baato’n baato’n me’n, jab un kaa naam liyaa *
Aaj kisii ne baato’n baato’n me’n, jab un kaa naam liyaa
dil ne jaise Thokar khaaii, dard ne baDakar thaam liyaa
ghar se daaman jhad ke nikale, vahashat kaa saamaan na puuchh
yaanii gard-e-raah se hamane, rakhht-e-safar kaa kaam liyaa
diivaaro’n ke saaye-saaye, umr bitaaii diivaane
muft me’n tanaasaani-e-Gham kaa apane par ilzaam liyaa
raah-e-talab me’n chalate chalate, thank ke jab ham choor huye
zulf kii Thandii chaanv me’n baithe, pal do pal aaraam liyaa
honth jale’n yaa siinaa sulage, koii taras kab khaataa hai
jaam usii kaa jisane 'Tabaan', jur'at se kuchh kaam liyaa
|
|