donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Girdhari Prasad Baqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil meN duniyaa kaa tamashaa dekhaa *
Dil meN duniyaa kaa tamashaa dekhaa,
mojazin kuuze meN dariyaa dekhaa,
(tamashaa : spectacle; kuuzaa : pitcher)
qaasid itnaa hii to kah de mujh se,
Khat ko paRhvaa ke sunaayaa dekhaa,
(qaasid : messenger)
arz kii maiN ne idhar to dekho,
kahaa muNh pher ke dekhaa dekhaa,
(arz : request)
aah maiN kal vo yakaayak jo milaa,
merii jaanib ko na islaa dekhaa,
jis ne dekhaa dahn-e-jaanaaN ko,
“Baaqi” anqaa ko hai goyaa dekhaa,
(dahn-e-jaanaaN : mouth of the beloved; anqaa : mythical rare bird)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410