donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Girgit Ahmedabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jis din huaa paThaan ke murGhe kaa intaqaal *
Jis din huaa paThaan ke murGhe kaa intaqaal,
daavat kii maulvii kii tab aayaa use Khayaal,
murdaar murGh kii hu_ii mullaah ko jab Khabar,
saaraa badan sulag uThaa, Ghaalib huaa jalaal,
kahne lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal,
murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam,
jab tak na zibaah kiijiye, hotaa nahii.n halaal,
fatavaa jab apnaa maulvii saahab sunaa chuke,
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal,
kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye,
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal,
allaah jis ko maar de, ho jaaye vo haraam,
bande ke haath jo mare, ho jaaye vo halaal.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 473