donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Habib Jalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye aur baat terii galii me’n na aaye’n ham *
Ye aur baat terii galii me’n na aaye’n ham
lekin ye kyaa ki shahar teraa chhod jaaye’n ham

muddat huii hai kuu-e-butaa’n kii taraf gaye
aavaaragii se dil ko kahaa’n tak bachaaye’n ham

shaayad baqaid-e-ziist ye saaat na aa sake
tum daastaan-e-shauq suno aur sunaaye’n ham

benuur ho chukii hai bahut shahar kii fazaa
taariik raaston me’n kahii’n kho na jaaye’n ham

us ke baGhair aaj bahut jii udaas hai
'Jalib' chalo kahiin se use DhuuNDh laaye’n ham
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386