donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Habib Jalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye aur baat terii galii me.n na aaye.n ham, *
Ye aur baat terii galii me.n na aaye.n ham,
lekin ye kyaa ki shahar teraa chho.D jaaye.n ham,

muddat huii hai kuu-e-butaa.N kii taraf gaye,
aavaaragii se dil ko kahaa.N tak bachaaye.n ham,

[muddat = long time; kuu = lane; butaa.N = beloved]

shaayad ba-qaid-e-ziist ye saa-at na aa sake,
tum daastaan-e-shauq suno aur sunaaye.n ham,

[ba-qaid-e-ziist = within the prison of life]
[saa-at = moment; daastaan = story]

Be-nuur ho chukii hai bahut shahar kii fazaa,
taariik raasto.n me.n kahii.n kho na jaaye.n ham,

[be-nuur = without light]

us ke baGhair aaj bahut jii udaas hai,
’Jalib’ chalo kahii.n se use Dhuu.NDh laaye.n ham.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 421