donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Habib Jalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Is shahar-e-Kharaabii me.n Gham-e-ishq ke mare, *
Is shahar-e-Kharaabii me.n Gham-e-ishq ke mare,
zindaa hai.n yahii baat ba.Dii baat hai pyaare,

ye ha.Nsataa huaa chaa.Nd ye pur_nuur sitaare,
taabindaa-o-paa-indaa hai.n zarro.n ke sahaare,

[taabindaa-o-paa-indaa = burning bright and eternally]

hasarat hai koii Ghunchaa hame.n pyaar se dekhe,
aramaa.N hai koii phuul hame.n dil se pukaare,

har subah merii subah pe rotii rahii shabanam,
har raat merii raat pe ha.Nsate rahe tare,

kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gham-e-jaanaa.N,
kab tak koii ulajhii huii zulfo.n ko sa.Nvaare.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 434