donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Banarasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jaha'n sab ko talash-e-zindagi hai *
Jaha'n sab ko talash-e-zindagi hai
Wahi to mere qatil ki gali hai
Buri hai Zindagani ya bhali hai
Mohabbat kijiye jab mil Gayee hai
Jise dekho Use Apni parhi hai
Yahi Shayad qayamat ki gharhi hai
Uthata kiyo'n nahi'n kandhe pe koii
Sarhak par laash yeh kis ki parhi hai
Shajar saare fasurda hogaye hai'n
Magar aik Shakh-e-Gham hai jo hari hai
Muhabbat ko na dhundo is jahan me'n
Muhabbat Aanjihani ho gayee hai
Paresha'n haal hai sara Zamana
Na jane konsi shai kho gayee hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 311