donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Banarasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ashaar-e-gham na bazm-e-tarab me'n sunaiye *
Ashaar-e-gham na bazm-e-tarab me'n sunaiye
Andho'n ki anjuman me'n na moti lutaiye
Pahle dilo'n ke beech ki doori mitaiye
Phir dosti ka haath kisi se milaiye
Us ki sitam giri me'n bhi pahloo hai'n payar ke
Us ki sitam giri pe bhi qurban jaaiye
Yeh kar-e- khair bhi na bane kare maeesat
Ehasa'n kisi pe karke na ehsa'n jatayie
yaro'n ke haath me'n bhi hai'n sang-e-sitam hazar
Keya pathhr'on se aaina dil bachaiye
Jeena usi ka naam hai jeene ke waaste
Seene pe Zakham khaiye aur muskuraiye
Muddat huii ke dil se sab arman ja chuke
Ab ghar me'n koii bhi nahi'n be khauf Aaiye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329