donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Banarasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har gaam pe ek aahni deewar kharhi hai *
Har gaam pe ek aahni deewar kharhi hai
Pairo'n me'n yeh kis khof ki zanjeer parhi hai

Tasweer mere saye ki ab mujh se barhi hai
Shayad yahi khursheed ke dhalne ki gharhi hai

Har ek ghari subhe qayamat ki gharhi hai
Is daurh me'n jeene ki saza kitni karhi hai

Kaa'ndhe pe uthane ko nahi'n koii bhi taiyyaar
Chourahe pe tahzeeb ki ek lash parhi hai

Woh sham ko Aayega magar aas lagaye
Dahliz par ek devi savere se kharhi hai

Kishti to wahi hai jo larhe moj-e-bala se
Kishti voh nahi'n hai jo kinare pe kharhi hai

Afsos nahi'n mujh ko jo dooba hai safeena
Mai'n khush hoo'n ke sahil ki yeh bunyad parhi hai

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 322