donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Banarasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ghar me'n hai keya jo chura le jayenge *
Ghar me'n hai keya jo chura le jayenge,
Rahzan meri doaa le jayenge,

Ik buzurg aaye hai'n maikhane me'n aaj,
Saare paimane khangale jayenge,

Zindagi dam torhti hai jis jagah,
Ham waha'n aab-e-baqa le jayenge,

aap daste naaz ko zahmat na de'n,
apna lasha ham utha le jayenge,

Teztar jho'nke hawaye dard ke,
Har musarrat ko utha le jaye'nge,

Maut ke roushan farishte ek din,
Zeest ki maili qoba le jayenge,

Kaun hai ab qadr da'n un ka ''Hafeez'',
Ham kaha'n jins-e-wafa le jayenge.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 309