donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Meeruti
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* SimTe baithe ho kyuN buzdiloN ki tarah *
SimTe baithe ho kyuN buzdiloN ki tarah,
aao maidaan meiN ghaazioN ki tarah,
kaun rakhtaa hameiN motion ki tarah,
mil gaye khaq meiN aaNsuoN ki tarah,
noor-o-nikHat se maamuur yaadeiN terii,
khushbuoN ki tarah, jugnuoN ki tarah,
raushnii kab itnii mere shehar meiN,
jal rahe haiN makaaN mashGhaloN ki tarah,
daad deejiye ke ham jee rahe haiN wahaaN
haiN muhaafiz jahaaN qaatiloN ki tarah,
zindagii ab hamaarii Khataa baksh de,
dost milne lage, muhsinoN ki tarah,
kaise Allah waale haiN ye ai Khudaa,
guftuguu, mashware saazishoN ki tarah,
merii baatooN pe haNstii hai duniyaa abhii,
maiN sunaa jaooNgaa faisloN ki tarah,
tum bhi darbaar meiN haazirii do Hafeez,
phir rahe ho kahaaN muflisoN ki tarah.
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 460