donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Haider Ali Aatish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dahan par hai unke guman kaise kaise *
Dahan par hai unke guman kaise kaise
Kalaam aate hai darmiyan kaise kaise
Zameen-e-chaman gul khilati hai kya kya
Badalta hai rang aasman kaise kaise
Na gor-e-Sikandar hai na qabar-e-Dara
Mite naamion ne nishaan kaise kaise
Bahr-e-gulistan ki hai aamad aamad
Ke phirte hai khush baghbaan kaise kaise
Tawajju ne teri hamare masiha kaise
Tamanaa kijiye natwan kaise kaise
Dil-o-deeda-e-ahl-e-aalam mein ghar hai
Tumhaare liye hai makaan kaise kaise
Gham-o-ghurse-o-rang-o-andoh-o-hirman
Hamaare bhi hai mehrbaan kaise kaise
Kar jis qadr shukr-e-naimat woh kam hai
Mazaa loot ti hai zabaan kaise kaise
************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 660